
ek chhoti si khwahis thi apni khud ko niharu aine me
kabhi fursat mile to jhakoo apni in nigahon me
log kahte hai ye nigahen dil ka haal bayan karti hai
jo dur hai unki tasweer sanjoye rakha karti hai
unki yaad na sahi unki tasveer hi dikha de hame
ek chhoti si khwahis thi apni khud ko niharu aine me
apni badal chuki muskurahat ko dekh saku
samjh saku in labo pe pari silwato ko
jo warso se dhokha de de kar itne thak gaye hai
ki ab to apna naam lene par bhi kaapte hai
ek chhoti si khwahis thi apni khud ko niharu aine me
badal chuki is chehre me dhundhu apne bachpan ko
kabhi jo masumiyat thi apni us bholepan ko dekhu
khud ko pehchan saku apni hasti ko jaan saku
is farebi chehre ke pichhe base insaan se mil saku
par khuda ko ye choti si khwaish bhi gawara na thi
aina to diya par sach ko dekhne ka hausla na diya
aankho ke aage ek chasma hotho par vaseline
aur jo bachha wo is chehre par dikha
sach kahu to sach ke siwa hame sab kuch dikha